Gavs e Kasrevi (Shaykh Seyyid Abdul Hakeem al Husseini) q.s jinka tazkira sadat e ikram ke tareekh me kiya jata hai, Woh, Gavs e sani Shaykh Seyyid Abdul Baki al Husseini q.s ke mubarak Walid e girami they, jo filhaal Adiyaman shehar ke gaanv Kahta Menzil ke rehne waale hai.


Haji Idrees dar-asal (Siirt shehar) ke muqaami thhey aur woh Gavs e Kasrevi (Seyyid Abdul Hakeem al Husseini) q.s ke mureed thhey – (Allah un ke razon ko muqaddas rakhhein)-, Haji Idrees, Apne peer ke badey hi qareebi aur behtareen mureed guzrey.

Yeh waqia us waqt ka hai, jab do qabail aapas mai lad pade, zila Kozluuk  mai  municipal election ke baais 6 afraad halaak ho gaye .
aik qabeeley ke sardar ne Gavs e Kasrevi (Shaykh Seyyid Abdul Hakeem al Husseini) q.s se madad talab ki.

Haji Idrees batatein hai ki;

 Hum gaanv Gadiri se subah Kozluuk pohunchey  aur ek muqaam par teher gaye. Hazrat Gavs e Kasrevi q.s ne farmaya ‘Idrees ja kar mayor ko masjid mai  bulaa layein, hum wahan aap ka intezar karengey’ Aur farmaya ki ‘Mohtaat rahen ! jab aap mayor ke ghar ke qareeb Pahunchein’ to apna taaruf karwaein taaki woh aap ko nuksan na pahunchaye’.

Mai wahan pahunchgaya, ghar ke qareeb pahunchtey hi maine buland aawaz mai apna taaruf karaya, unhon ne mujhe ghar mai daakhil hone  ke liye qubool  kar liya .


Surat-e-haal is qadar naazuk thi ke jaan bahaq afraad ki laashein sadkon par padi hui thi, koi bhi un ki laashein nahi utha sakta tha .

Mayor ne mujh se kaha ke ‘Jao, unhey kaho ke mai nahi aasakunga’.
Mai masjid wapas lauta aur Hazrat Gavs e Kasrevi q.s se kaha ki ‘Kurban, unhone  aaney se inkaar kiya’.


Hazrat Gavs e Kasrevi q.s ne gussa zahir kiya aur kaha ki ‘unse kaho ke woh yahan aayein’

Mai dobarah wahan gaya aur kaha ke Hazrat Gavs e Kasrevi q.s chahtey thhey ke woh fauran masjid mai ayein. Woh hichkichate hue utthey aur hum ikathhey masjid pohnchey. Hazrat Gavs e Kasrevi q.s ne aik giroh ko apne dayein taraf aur dusre ko bayein taraf bithaya tha. Hazrat ne inhen gehra mahswara diya. Un se sulah karne ko kaha.

Badle mein dono giroh kehne lagey ki ‘nahi hum sulah nahi kar saktey’. Jab woh giroh chup hue to Hazrat Gavs e Kasrevi q.s ne farmaya ke ‘hum yahan akeley nahi aaye, jaan lo ke mere ek janib Hazrat Mohammad Zia Ud deen q.s aur doosri janib Shah e Khazna ( Hazret Ahmed al Khaznevi q.s) tashreef-farma hai. Agar aaplog ne sulah  qubool  na ki, to yeh aap logon ke liye acha nahi hoga, dobara ghaur karo aur sulah karlo’. maahol achanak se badal gaya, jaise sunn-hawa chali ho .

Unhon ne kaha theek hai hum ne sulah kar li, lekin maare gaye laashon ka kya hoga ? Hazrat Gavs e Kasrevi q.s ne faramaya, dono taraf  ke tamam logon ke liye ek mushtarqa janaze/tadfin ki adayegi hogi, koi alahedgi nahi hogi. Namaz e janaza ke baad ta’am sameyt badi dawat ka ehtemam kiya jayega’.

Aur farmaya ki ‘Janaze se pehle har shakhs sulah karega’.

Waise hi hua, Hazrat Gavs e Kasrevi q.s ne bataya ke ta’am ke dauran dono  qabail ke log ek sath baithey thhey aur phir woh guftugu karne lage ke ‘hum mayor aur public prosecutor se milenge, Hamari umeed hai ke woh is aman waley faisley ko hukumat ke nazdeek qubool karlenge aur dono ke beech achhai qayam rakhne ke liye jis cheez ki zarurat ho woh karengey’.

Gavs e Kasrevi q.s uthhey aur sarkari imarat mai is muddey par baat karne chalay gaye. Mazkaraat musbat(positive) rahe aur unhon ne imdaad bhi ki.

Janazay sadakon se hata diye gaye .

Zaroori iqdamaat kiye gaye, khana khaya gaya, sab ne ek dusrey ko qabool kiya (galey lagey).

Aur fir Sadat e ikram dua detey (tasarruf karte) hue wahan se chale gaye.


(Waqiye ki peshkash)
Engin ki janib se…!!!

1 Yorum

  • Rebeka Wiegand
    3 सप्ताह ago Reply

    Usually I do not read article on blogs however I would like to say that this writeup very compelled me to take a look at and do so Your writing taste has been amazed me Thanks quite nice post

Yorum Yapın

E-posta hesabınız yayımlanmayacak.