Gavs e Kasrevi (Shaykh Seyyid Abdul Hakeem al Husseini) q.s jinka tazkira sadat e ikram ke tareekh me kiya jata hai, Woh, Gavs e sani Shaykh Seyyid Abdul Baki al Husseini q.s ke mubarak Walid e girami they, jo filhaal Adiyaman shehar ke gaanv Kahta Menzil ke rehne waale hai.


Haji Idrees dar-asal Siirt shehar ke muqaami thhey aur woh Gavs e Kasrevi (Seyyid Abdul Hakeem al Husseini) q.s ke mureed thhey – (Allah un ke razon ko muqaddas rakhhein), Haji Idrees, Apne peer ke badey hi qareebi aur behtareen mureed guzrey.

Haji Idrees farmatey hai ki, un salon mein, hum khandani taur par jaanwaron ki tijarat par kaam kartey thhey. Hamein is muamley mein bohat achha tajurbah aur maharat haasil thi. Hum rail gadiyon ke zariye jaanwaron ko Iran bhejne aur bechne  ke qabil thhey.

Aam taur par hum Kars aur aas paas ke shobon se raywad mein janwar khareed kar 17 din ke liye Siirt laate  aur wahan se apne janwar becha karte thhey. Aur hum Gavs e Kasrevi q.s ke ziyaret ke liye bhi jaatey. Sufi hazraat se hamari bohot achii sohbet mohabbet hoti aur Alhumdulillah  hamari tijarat bhi  bohat achi rehti thi.

Is waqt, hum ne ek baar phir raywad mein jaanwar khareede. Hum Kars se Siirt aaye, lekin jab hum jaanwar manndi mein laaye to waha apne jaanwaron ka manzar dekh ke hamein apni aankhon par yaqeen nahi aaya, woh bohat kamzor aur natawaan hogaye jinhein khareeda nahi jaa satka thha. Jabki, khareedari se pehle un sab ka mukammal jaiza liya aur un ko daad day kar khareeda, mazeed yeh bhi tha ki hum is silsilay mein tajurbah kaar tajir thhey, lekin aakhri cheez jo hum ne dekhi woh bilkul bhi khushgawar nahi thi, hum un jaanwaron ko khareedey gaye paison ka aadha bhi mutalba nahi kar satke thhey.

Jaanwaron ki manndi mein yeh dekh kar sab hairan reh gaye aur qudrati tor par hamein muashi o maali nuqsaan pohncha. hum dobarah ek aur kharidari ke liye gaye, is baar hum ne ziyada ehtiyat ke baad apne janwar khareedey, janwar manndi le aaye, Subhan Allah phir wohi nazarah aur wohi muamla aur phir hamara bada nuqsaan hua .

Wohi waqiya teesri baar bhi pesh aaya, aur hamein ab samaj nahi aaraha tha ke kya karein, tijarti taur par jo nuqsaan pohncha hai usey kaise sambhaalein, ya tijarti shohrat ka kya hoga, ya hamein is baat par hairan  hona chahiye ke hamare itne saalon ka tajurbah hone ka kya hua ?. Almukhtasir, hum samajh nahi pa rahe thhey ke kya hua. Hume is baat ki shadeed fikr hui aur hum seedhay Gavs e Kasrevi q.s ke paas pohnchey.

Aur unhein arz kiya ki, yaa Gavs e Kasrevi q.s, jab hum jaanwar khareedtey hain to woh hattey kattey, tandurust, uunchey, mazboot aur khubsurat nazar aatey hain, lekin jab hum inhen bazaar mein laatay hai to woh bikhare hue kuttay ke bachay ki manind, kamzor, thakey hue aur natawaan nazar aatey hain. Aur kaha ke hamein samajh nahi araha ke kya ho raha hai, aur naa hi samajh aaraha kya karna chahiye. Hum ne apne halaat zaahir kiye.

Gavs e Kasrevi q.s ne arz kiya, agli baar jab aap jaanwaron ki tijarat mein jayein to apna niyyat o iradah is tarha karein (mai Shaykh Ahmed al khaznevi q.s ki janib se khareed raha hun, aur kaha ke jab aap unhein layein aur manndi mein bechney lago to yeh niyat karein ke mein usay Shaykh Ahmed al khaznevi q.s ke taraf se bech raha hoon.

Beshak, agley daurey par hum ne Gavs e Kasrevi q.s ke farmaan k mutabiq niyyat o iradah kiya. Uske baad, humarey khareedey hue jaanwar laaye gaye aur use becha. Hum ne bohat hi kam waqt mein munafe kamaya aur hum ne bohat kam waqt mein apni tijarti shohrat dobarah haasil kar li .

Jab hum ne aakar usay surat e haal ko Gavs e Kasrevi q.s ko bayan kiya toh Gavs e Kasrevi q.s ne farmaya ke Saadat ki sarparasti wa tasarruf  badi niyamat hai.


(Waqiye ki peshkash)
Engin ki janib se…!!!

35 Yorum

Yorum Yapın

E-posta hesabınız yayımlanmayacak.