Gavs e kasrevi (Shaykh seyyid Abdul hakeem al Husseini) q.s jinka tazkira tareekh me kiya jata hai, Gavs e sani Shaykh seyyid Abdul baki al Husseini q.s ke Mubarak Walid e girami thhey jo filhaal Adiyaman shehar ke gaanv kahta menzil ke rehne waale hai.

Yeh waqia hai Haji idrees ka jo asal mein “Siirt” shehar se thhey aur Gavs e kasrevi seyyid Abdul hakeem al husseini q.s ke mureed rahe. Apne peer ke badey hi qareebi aur behtareen mureed guzre.

Haji idrees apna ek waqia arz kartein hai ki;

1960 aur 1965 baras ke darmiyaan, shaykh seyyid Abdul hakeem al Husseini q.s ke pas ek purani Mill motor mawjuud thhi. Jisko AAP q.s ne badey hi mushkil halaat me haasil kiya aur isiliye hi aap q.s ke nazdeek woh besh qeemti thhi. Lekin chuunkey yeh motor qudrati taur par kadheem thi lehaza isme aksar pareshani ka saamna karna padta.

Mill motor ka marhamatkaar(mechanic) Kazim naami ek shaks tha jo Gavs e kasrevi q.s ke gaanv ke qareebi gaanv ka rehne wala tha. yeh mechanic itna mukhaalif tha ke jab bhi humare gaanv ata toh hamare aur Gavs e kasrevi q.s ke baare me bura kehta lekin Gavs e kasrevi q.s ussey jawab na detey, aur asal haal hamein bhi usko jawab na dene ki wazahat ki. Aur mai bhi is mechanic ke burey saluuk ko dekh kar kaafi gussa aur naraz hota.

Is haqeeqat ke wajah se ki chakki ki motor kaafi khadeem thhi aksar pareshaniyo ka saamna karna padta, ek dafa fir se motor kharab hui aur humne mechanic kazim ko bulaya. Jaise hi isne motor ko khol kar jaanch ki, humein khabr di ke isme kaafi badi kharabi hai jo “gaziantep” shehar ke repair station par hal hogi. Aur usne motor ko khol kar purzey alag kardiye aur chalagaya. Gavs e kasrevi q.s ne mujhe us motor ko gaziantep shehar lejakar marhamat karaney ka hukm diya aur maine usey kabool kiya aur motor ke purzey boriye me daal waha se nikalgaya.

Mainey taweel waqt tak raastey me intezar kiya lekin koi car/sawaari nahi guzar rahi thi. Shaam ho chuki thii aur maghrib ki namaz ka waqt tha, lekin wazu karne ke liye aaspaas me pani dastyab na tha, lehaza namaz ki adayegi ke liye tayammum kiya aur namaz ada Ki. Jaise hi namaz ki adayegi mukammal hui. Maine dekha ki wahan se ek truck Aaraha tha aur usey rokney ke liye maine ishara kiya. Driver ne mujhe dekha aur dekhtey hue bhi aagey badgaya aur truck na roka. Maine mud kar us truck ko dekha aur mujhe ek badi awaz sunayi di aur wo uss truck ke tyre ke phattney ki awaz thi. Driver, jo kaafi Patla tha usne truck se utra aur tyre ko dekha aur phata Hua tyre dekh kar gussa hogaya aur usey badalne ki koshish ki. tyre badalne me Uski koshish nakaam hui aur iss baat par wo aur gussa hua. Gussey me usne tyre par laat mari aur kuch alfaaz nikalta tyre kholne ke auzaar ko zameen par patak kar baithgaya. mai usey dekhta raha. Maine apni namaz mukammal ki rabita al murshid se faarig Hua aur motor ke purzey utha kar uske paas chal pada. Maine uske phenke hue uss auzaar ko uthaya aur phatey hue tyre se achhey tyre ko tabdeel kiya. Iss dauran wo mujhe dekhta raha aur mai ne us se kuch na kaha na usne mujhse. Jab mere kaam mukammal Hua mai wahan se hatgaya. Usne apne auzaar aur phata tyre uthaya, truck me dala aur truck me baith kar mujhe bina kuch kahey aur mujhe bina truck me sawar kiye wo nikal pada. Mausam kafi siyah tha.

Truck kuch duur jaane ke baad ruka aur wapis mere jaanib laut aya. Driver ne fir mujhse pucha ke mujhe kahan jana hai ? maine dirabakir sheher ke kaha. usney mujhe apni truck me baitney ka ishara kiya aur Maine motor ke purzo ko uthaya aur usey lekar truck me baithgaya. Hum phir wahan se nikal pade. Raastey me na Maine us se kuch kaha na usne mujhse, guftugu kuch na hui. Hum “Silvan” naami ilaaqey par pohunchey aur dopahar ke khaaney ka waqt ho chuka tha. Mere pas sirf 6 Turkish lira mawjood thhey jo ki sirf jaaney ke liye kaafi thhey wapis lautney ke liye nahi. Yaane aaney jaaney ke liye wo paise kaafi na thhey.

Toh Maine wahan ek hissa garam khane ka talab kiya. Driver ne uski rakhm ada ki aur kuch na kaha aur rakhm ada Karne ke baad hum firse alag hogaye. Usne mujhse for pucha ke “diyarbakir mein kis muqaam par jaana hai ? ” , mai ne dar asal bataya usey ki “mujhe gaziantep sheher jana hai”.

Usne mujhse kaha ki mai antep hi jaa raha hun. Kuch der baad mujhe neend lag chuki thhi. Jab hum gaziantep sheher mai daakhil hone lagey thhey to usne mujhe neend se bedaar kiya aur poocha “gaziantep me kis muqaam par jana hai ?”, mai ne kaha “mujhe gaziantep ke repair station jana hai”. Usne kaha “wo is waqt ki andheri me toh nahi khula hoga”. Wahan koi aisa pata nahin tha jahan mai jaa sakta, sirf ek shaks ko jaanta tha jiska naam tha Mustafa, hamare peer o murshid ke mureed thhey. Mustafa ke Qaleen bananey ke hunar ke alwa mujhe unke talluq se aur kuch malumat na thhe. Driver ne mujhse Mustafa ke baare me mazeed pucha aur mai sirf unka naam aur kaam hi bata paya. kyu ke mujhe Mustafa ke bare me koi aur jaankari ya koi aur malumat na thhey.

Driver gaziantep me daakhil Hua aur ek muqaam par usne truck roka aur kaha “yeh jo makaan hai wo Mustafa nami shaqs ka hai”. Maine driver ko hairat se dekha aur wo truck se utar kar us makaan ke darwaze par pohnach kar dastak di. Mustafa ne darwaza khola. Driver ne Mustafa se kaha “apke ki talash me koi mehman hazir hai”. Jaise hi Mustafa ne mujhe dekha, unhone khushi se mera khayrmaqdam kiya.

Maine driver se pucha “Mustafa ko kaise jaantey ho ?” usney jawab diya wo mere padosi reh chukey hai. Mustafa ne apne ghar me mujhe khayr maqdam kiya aur pucha me mera kaise ana Hua. Maine sab sunaya aur unhone fauran mere khaane ka intezam kiya. Taam ke baad Mustafa ne mere araam ke liye ek kamre ke darwaza ka ishara kiya aur kaha ke aap wahan araam karsaktey hai aur guzarish ki yahan se kahin na jana.

Maine bohat araam se apni neend mukammal ki. Neend se bedaar hone pe Mustafa mere pas aaye aur kaha ke mill motor ko hum repair station le Gaye aur ab mill motor ban chuki aur tayyar hai. Mai me mustafa se mill motor ke marhamat ki rakhm puchi aur unhone ne apni dono aankho ki bhawain nazdeek kartey hue mujhe dekha aur rakhm ke bare me kuch na bataya aur fir mere liye chaai ka intezam kiya. Sawari k intezam ke liye raat kaafi ho chuki thhi. Behtar hua ke hum sohbet kartey hue raat bita rahe thhey aur fir Mustafa ne bawarchi khaney ke liye rukh kiya.


Sari raat sohbet ki aur fir hum sogaye. Aur raat ke aakhri hissey me uthhey aur namaz ada ki uske baad fajr ki namaz hui. Mustafa kuch der ke liye wahan se ghair mawjuud thhey aur kuch der baad lautey aur kaha ke mera ek bhaanja truck driver hai aur ab uski rawangi hai, jo ap hi ke raastey par padti hai agar aap chaaho toh uske saat jaasaktey ho aur saat me yeh kehna lagey ke agar thakey hue ho toh na jao aur bht minnat bhi ki. mai ne kaha nahi mujhe jana hoga anaj ki mill mere intezar me hai. Mustafa ne apne bhaanje ko saqt wazahat ki ke mera khayal rakhna. aur safar me unke bhanje ne mera khoob khayal rakhha, achhi guftugu bhi ki aur mere chai aur digar cheezo ka intezam bhi kartey rahe aur puchtey rahe ki mujhe koi cheez ki zarurat toh nahin. Unhoney sabse pehle mujhe apne gaanv me chorra. mai waha se seedha mill phncha aur us motor ko waha mustahkam kiya. Uske baad Gavs e kasrevi q.s meri tarf aaye aur farmaye “aap yaha wapis aa phnchey ?” aur maine jawab me arz kiya “Ji haan aur motor bhi repair hogayi aur apne jagah lag chuki hai alhumdulillah”.

fir Gavs e kasrevi q.s ne mujhse arz kiya “Maine apko yeh na pucha ke aapke paas barabar paise hai ya nahi, aur apne bhi mujhse na kaha, batao apne kaise sambhaal ?”. Mai ne arz kya “meri jaan aap par kurban ho mere Gavs, mai jab yaha se rawana Hua toh mere pas sirf 6 lira major thhey, Sadat e ikram ne meri kuch is qadar imdaad ki ke mai yaha se gaya bhi aur wapis aya bhi, raaste me khaana peena bhi Hua aur phnchaney ke baad araam ke liye rihaish bhi mili aur mere pas mawjuud 6 lira bhi baki rehgaye istemal hi na hue”. aur kaha ke “Sadat e ikram ne mujhe itna nawaza ke mere paise tak kharch na hue”. Gavs e kasrevi q.s ne mujhe dekha aur arz kiya “Shah e hazna q.s ne bohat tasarruf kiya”. Dar asal apne peer ke gehre ehteram ke liye Gavs I Kasrevi q.s ne apne tamam ehsanat ko shah e hazna q.s ko Mansub kiya. Aur faramaya “Allah rabbul izzat saari khidmet ko kabool kare” aur waha se muskurate hue chal padey.

1 Yorum

Yorum Yapın

E-posta hesabınız yayımlanmayacak.