Gavs e kasrevi (Shaykh Seyyid Abdul Hakeem al Husseini) q.s jinka tazkira sadat e ikram ke tareekh me kiya jata hai, Woh, Gavs e sani Shaykh Seyyid Abdul Baki al Husseini q.s ke mubarak walid e girami thhey, jo filhaal Adiyaman shehar ke gaanv Kahta Menzil ke rehne waale hai.

Haji Idrees dar-asal (Siirt shehar) ke muqaami thhey aur woh Gavs e kasrevi (Seyyid Abdul Hakeem al Husseini) q.s ke mureed thhey – (Allah un ke razon ko muqaddas rakhhein). Haji Idrees, Apne peer ke badey hi qareebi aur behtareen mureed guzrey.

Haci Idrees farmatein hai ki, hamare Gavs Hezret q.s ke khalifa e awwal Molla Ali bohat hi behtareen aalim aur sakhi insaan thhey. Lekin woh apni deegar khoobiyon se ziyada ghalib aaney waley andaz(dominant) se zyada pehchane jate they. Woh aala mazhabi haisiyat ke haamil shaqs thhey. Ek tezz aur sakhtareen shaqs jo shariat ki ghair qaanuniyat ko bardasht nahi karte.

Inki itaat aur wafadaari na qabil tardeed(indisputable) thi, is qabiliyat ki sab se wazeh misaal ko maine, apne bohat se doston ki tarha tajrubah kiya hai.


Ek din, Gavs e kasrevi (Shaykh Seyyid Abdul Hakeem al Husseini) q.s Karsik ki masjid mein sohbet(dars) de rahe the, hum 30-40 log samaat kar rahe thhey, aur hamaray darmiyan Molla Ali bhi thhey, Gavs e kasrevi q.s ne inki janib dekha aur muskuratay hue dars ko agey badaya. Dauran e dars kuch is kadar kaha ki, is surat e haal ne unke bardasht aur ghusse ko mazeed bada diya. Molla Ali ko bardasht na hua aur masjid mein ruk na sakay, bahar nikal padey. Aur is qadar cheeqtey rahey ki maano phepdey jism ke bahar nikaljayengey.

Nahi Hosakta Kurban Nahi Hosakta!!!

Unhone kaha, aisa nahi hosaktakurban, yeh nahi hosakta, yeh Shariat hai, yeh mazhab hai, yeh aqeedah hai.

Shariat ke tarazu  ne aur inke dil ne yeh sohbet(dars) qubool nahi ki.


Is dauran, wahan ziyadatar jamaat ke sufi aise cheekh rahe thhey ki mano jazbey me ho. Pukar rahe thhey ki ‘Kurban, Kurban hum is sohbet ko maantey hai, aur pyar aur kashish ke sath hai jis cheez par Molla Ali ko aitraaz raha usey qabool kartey hai’. Aur kaha ki ‘sirf Molla Ali ko hi aitraaz hai, aur yeh kaisa aitraaz !’


Gavs e kasrevi q.s ne kuch der tak sohbet jari rakhi aur jab sohbet khatam hui to wo aaram karne lagey.

Molla Ali ne sirf apne apko hi na bahar laaya, balki itna cheekh lagayi ki unki aawaz Karsik ke pahadon mein goonjne lagi, yeh kefiyat raat bhar jari rahi.


Inki aawaz tamam pahado mein goonj rahi thi. Gavs e kasrevi q.s  ne dusron se kaha ke woh Molla Ali ke sath kuch nah karein aur unki fikar chhordein aur kaha ke woh theek ho jayenge.


Jab Fajr ki namaz parhi ja rahi thi to Molla Ali apne sar ko phataa aur nocha hua lekar, zakhamo ke sath, apne libas par kaantey lagey hue lekar masjid dakhil hue. Lekin inke chehray par dekha ki inmein ek na khatam hone wali sukoon ki kehfiyat thi, aur dar- haqeeqat isi wajah se inpar ek ghazab ki khuubsurti zahir hui nazar aa rahi thhi.


Molla Ali, Gavs e kasrevi q.s ki janib badhey, jo mihrab ke nazdeek  tashreef-farma thhey.

Intehai afsos ke sath, aansuon ke jaari qatron ke sath, gehrey sukuun, tasleem-shuda dil aur dimagh ke saath, ek azaad  jazbe ke sath jo kisi qaid se mano riha hua ho, aur apne aap ko mutlakan taur par sar-kham tasleem kartey hue aise nazar aaye ki waha dekhne wale har shaqs ko unki yehi kehfiyat samaj aur dikhayi di.


Kaha ki ‘belii kurban belii’


Kaha, ‘Theek hai, samajh gaya, maan gaya, tasleem kiya kurban’.

Uske baad namaz ke liye Gavs e kasrevi q.s, Molla Ali ke wudu karne ka intezaar kar rahe thhey. Aur jab wo farigh ho kar agaye to namaz ka aghaaz hua aur is waqiye ke thodi der baad  Molla Ali, Gavs e kasrevi q.s ke pehle khalifa ban gaye .


Ahem Baat : Jis saal yeh waqiya pesh aaya, hum Gavs e kasrevi q.s ke sath train ke zariye arab ki mubarak ziyarat par nikle hue thhey, aur mai train me khana bana raha tha. Tandoor ka eendhan, jis par Gavs e kasrevi q.s aur hum sab ke liye khana banaya jaa raha tha wo khatam hogaya. Wahan deegar train ke compartment me hamare dost ehbaab maujuud thhey. Maine unse madad talab karne ki sonchi ke pakwaan jo adhurra rehgaya wo puura karlun. Maine unhe yeh  surat e haal batayi aur un se tandoor poocha. Unhon ne kaha ki ‘Na hi shosakta, kyu ki humein bhi pakwan poora karna hai aur hamara pakwann poora nahi hoskta. Al-gharaz unhon ne hamein tandoor ka eendhan dene se inkar kardiya, yeh wajah zahir kartey hue ki hum eendhan kafi nahi hai.

Yeh eendhan ka inkar karne wale log wahi thhey jo masjid me Molla Ali ke guftagu par aitraaz kiya, aur sabse zyada kaha ki, ‘Hum hazir hai kurban, hum tasleem kartey hai, hum is guftugu ko qabool kartey hai.

(Waqiye ki peshkash)
Engin ki janib se…!!!

35 Yorum

Yorum Yapın

E-posta hesabınız yayımlanmayacak.