Gavs e kasrevi (Shaykh Seyyid Abdul Hakeem al Husseini) q.s jinka tazkira sadat e ikram ke tareekh me kiya jata hai, Woh, Gavs e sani Shaykh Seyyid Abdul Baki al Husseini q.s ke mubarak walid e girami thhey, jo filhaal Adiyaman shehar ke gaanv Kahta Menzil ke muqeem hai.


Haji Idrees dar-asal (Siirt shehar) ke muqaami thhey aur woh Gavs e kasrevi (Seyyid Abdul Hakeem al Husseini) q.s ke mureed thhey – (Allah un ke razon ko muqaddas rakhhein). Haji Idrees, Apne peer ke badey hi qareebi aur behtareen mureed guzrey.


Haci Idrees farmatein hai ki, ek dafa Gavs e Kasrevi q.s apne jaanwaron ki hifazat ke liye charwaha kutta le aaye aur iske saat hi apne peer o murshid Shaykh Ahmed al Haznevi q.s ke  yaad me unke amal par paband bhi hone ka irada rakhha. Kyu ki, Shah e Hazna q.s ke pas bhi isi qadar ek charwaha kutta tha jiska naam Hazro tha.

Gavs e Kasrevi q.s ne iska naam Kasro rakhha aur usey uskey haal par chhor diya.


Waqt guzartey, Kasro ek bohat khubsurat aur zaheen kutta ban gaya. Bada hua aur bohat se sufiyon ke liye khushi ka baayis ban gaya. Kasro hamare sath khel kheltaa aur sufiyon ki sohbet ka sath deta. Jab bhi Gavs e Kasrevi q.s ko dekhta, toh Kasro bilkul mukhtalif makhlooq ban jata .

Ba-wajood iske ki Kasro ki koi tarbiyat nahi thi, jab Gavs e Kasrevi q.s usey baithney ko kehtey woh fauran baith jata, Aur jab bhi yeh Gavs e Kasrevi q.s ko dekhta to itna khush hota aur aise harkaat karta ki hum sab Kasro ki tareef  kartey.

Poora jism hamesha chaukanna ki maano jaise Gavs e Kasrevi q.s ki aawaz aur saans ka intezaar karta ho. (Kayee dafa mai apne aap se sawal kiya ke ‘Idrees, kya yeh Kasro jaanwar hai ya aap khud ? samaj nahi aata). Mai kayee dafa Kasro saamne mai apne aap ko yeh khete hue ruswa hua ki, ‘Kam-az-Kam Gavs e Kasrevi q.s ke samne tum Kasro jaisa raha karo’.

Us janwar ka haal hum sab ke liye sabaq amooz hoga .

Jab Gavs e Kasrevi q.s ne wafaat farmaya, us waqt Kasro ko Menzil laya gaya tha (dar haqeeqat, charwahey ke mutabiq, Kasro ka rawayya tab se hi badla hua tha jabse Ankara me wafaat ka waqia pesh aya). Isne Gavs e Kasrevi q.s ki tadfeen tak har marhalay par qareeb -tareen rehne ki koshish ki. Jab hum Gavs e Kasrevi q.s ko madfoon karne lagey tab koi bhi Kasro  ko Gavs e Kasrevi q.s ki mazar-e-shareef se alag nahi kar paaraha tha.  

Humney mukhtalif  koshishein ki ke usey wahan se hata dein, hum ne gosht diya, doodh diya, jo kuch bhi dekar hataney ki koshish ki, usne khana peena toh duur, chakkha tak nahi.

Lekin jab hum ne israar kiya to woh hamari janib aankhon me aansu liye is tarha dekha jaise ki wo humse muqatib ho (Gavs inteqal farma gaye, kya tum unse mohabbat nahi karte thhey ?. Wo hamare khana dene, rokne aur israr par aise hairat se dekh raha tha ki maano yeh keh raha ho ‘tum kya baat kar raahe ho’? ).

Woh logon ko nuqsaan pohanchaye aur khaufzadah kiye baghair is qader udasi ke sath ghoomta raha ke jis ne bhi usey hamare darmiyan dekha is ne ehteram aur mohabbat se usey rasta diya. Wafa ka yeh alam tha ke usne Gavs e Kasrevi q.s  ki dehleez /darwaaza bhi nahi chorra.


Kasro is gham aur dard se din-bah-din pighalta chala gaya aur afsos, isi haalat mein mar gaya. Humne kayee dafa Kitmir ke bare me suna aur pada tha, lekin jab hum ne Kasro ka yeh haal dekha tab hum ne Kıtmir ko samajha.

(Waqiye ki peshkash)
Engin ki janib se…!!!

728 Yorum

Yorum Yapın

E-posta hesabınız yayımlanmayacak.