Gavs e kasrevi (Shaykh seyyid Abdul hakeem al Husseini) q.s jinka tazkira tareekh me kiya jata hai, Gavs e sani Shaykh seyyid Abdul baki al Husseini q.s ke Mubarak Walid e girami thhey jo filhaal Adiyaman shehar ke gaanv kahta menzil ke rehne waale hai.

Yeh waqia hai Haji idrees ka jo asal mein “Siirt” shehar se thhey aur Gavs e kasrevi seyyid Abdul hakeem al husseini q.s ke mureed rahe. Apne peer ke badey hi qareebi aur behtareen mureed guzre.

—-

Mujhe khabar mili ke Gavs q.s ki tabiyat kafi nasaaz ho chuki hai aur apne ilaaj ke liye wo diyarbakir sheher ke liye rawana hue.

Jaise hi yeh sunna tha mere andar ek tez aag si jalan paida hui aur mai khudko ek jagah na rok saka.

Maine Gavs q.s se milna chaha aur apke nazdeek rehne ki chahat talab ki.

Mai jab is aag si jalan ke saat diyarbakir pohncha to pata chala ke Gavs q.s Dr. Ahmet ke hujre par tashreef farma hai.

Wahan mujse kaha gaya ke kisi ko andar daakhil hone ki ijazat nahin hai.

Mai apna wohi seene me aag si Japan jaisi bechayni lekar Hujre ke darwazey par pohunch kar dastak di, andar se kisi ne awaz lagayi kaun hai ?

Maine kaha mai idrees hun siirt se.

Unhoney ne jab mujhse poocha kya aap idrees ho ?

Toh mai pehchaan gaya ki yeh awaz molla seyhmus ki hai.

isiliye ki mai aur molla seymuz achhey dost thhey, mujhe apne dost ki awaz sun kar kaafi rahat mili, mai yeh sonch ke khush hogaya ki chalo ab mai asani se andar jaasakunga.

maine kaha seyhmus darwaza kholiye mujhe Gavs q.s ki ziyaret karni hai.

Seyhmus ne dheere se darwaza khola aur kaha ke idrees andar dakhil hona mana kiya gaya hai aur pabandi lagayi gayi hai.

Maine muskuraatey hue kaha seyhmus “mai hu, kya mujhe ap andar nahi aaney dogey ? kya mujhpar bhi pabandi ayat hai ?”

Seyhmus ne kaha ” Wallahi idrees har kisi ko ijzat nahin hai toh apko bhi nahi.

Mujhe in alfaaz pe bada gussa aya aur maine kaha “baydil molla seyhmus kya apko nahi pata ke gavs q.s mujhe achhey se jaantey hai aur mai apke nazdeek nhi hun ? Apne kaise keh diya ke mujhe ijazat nahi, aap pehle Gavs q.s se poochi aur agar unhoney ne ijazat na di toh fir mai isme sehmat hun.

Par yeh sab baaton se kuch na hua aur molla seyhmus ne kaha ki idrees mai maazrat kha hu, gavs q.s araam farma rahein hai aur mai unhe pareshna nahi karna chahta hu.

Mujhe bada hi gham hua aur molla seyhmus par gussa bhi aya.

Bay khauf hokar mai darwaze ke samne wale raste par jakar baitgaya.

Aur apne haato ke beech se apna sar rakh kar darwazey par nazar jamakar muntazir rehgaya.

Aas bhari nazro se mai darwaze ke tarf dekhta raha, bade hi taweel waqt ke baad darwaza khula aur molla seyhmus ne mujhe ishara kiya ke aao aao.

Maine samjha ki unka dil pighal gaya aur unhone mujhe andar jane ke liye bulaliya aur mai Josh me unke janib dauda aur arz kiya “ji” ???

Unhoney mere khandey ko zor se pakda aur kaha idrees meri Zimmedari tumhe sonpta hun mai thodi der me wapis lautunga par kisi ko andar daakhil na hone dena.

Maine kaha, agar yahan mere Walid bhi aajayein unhe bhi daakhil hone na dunga.

Mai andar daakhil Hua aur darwazey ko bandh kiya jiski awaz bhi ayi thi.

 Fauran Upar ki janib bada aur us kamre ke pas pahuncha jaha Gavs q.s araam farma rahe thhey.

Maine halkey se darwaza khola aur dekha ki Gavs q.s kafi thakey hue apne aankh bandh kar araam kartey hue nazar aaye.

Mai inhey dekh kar bada ghamzada Hua aur darwazey ke pas bait kar ro pada.

Kuch der baad neechey darwazey par dastak hui aur mai neechey ki taraf daud pada.

Maine awaz lagayi ki kaun hai ??? jawab aya seyhmus.

maine pucha kya kaam hai, unhoney kaha darwaza Kholein mai wapas agaya.

Mainey jawab diya “ijazat nahi hai, jo shaqs ne mujhe yeh Zimmedari di unhoney kaha ki kisi ko andar na janey dena”.

Jitna bhi bhi gussa hue, ajizi ki aur  minnatein ki andar aaney ke liye mainey inhe ijazat na di.

Jab wo wahan se nikal pade maine darwaza bandh kar usey tala laga kar upar pohncha aur darwazey ke saat me baitgaya.

Kuch der baad maine darwazey ke khulne ki awaz suni aur yeh bhi sunayi diya ke kuch log upar aa rahe they awazo ke saat.

Jab mai yeh sonch hi raha tha yeh kon hai aur darwaza kaise khol kar andar chale aaye, utney me hi do shaqs mere samne tashreef farma hue.

Wo darwazey ke pas aarahe thhey. Unka rang gehra, qirkha posh, sar par imama aur bade hi shaandaar huliye me nazr arahe thhey. Meri zuban mano jaise ki baandhey hi gayi thhi aur mai yeh bhi na puuch saka ke aaplog kaun hai ??? 

Fir Wo log  Gavs q.s ke kamre me daakhil hue, maine tezi se harkat ki aur unke peeche andar chalpada.

Gavs q.s ne apni kambal apne payron par kheenchi aur palang se ut kar bait Gaye, aise mano ki jaise wo kisi ke intezar me thhey.

Maine jald aap q.s ke kamr ke peechey takiya diya aur apko utney me madat ki.

Wo do shaandar shaqs Gavs q.s ke Payro ki janib badey hi izzat aur shaistagi ke saat khadey hue.

Gavs q.s unsey kuch alag zubani me baat karne lagey. (Haji idrees ko arabic, turkish, Kurdish aur kuch kam Farsi zuban bhi ati thhi)

Unhone kuch aisi zuban me baat ki jiska mujhe kuch pata hi nahi chal paya.

Unke harkato se bas mai yehi samaj paya ke unhone kuch pucha aur Gavs q.s ne unhey jawab diya.

Uske fauran baad, jis tezi se wo hazraat aaye thhey usi tezi se wapis lautgaye.

Jab wo jaa rahe thhey unhone meri janib nazar ki aur saqt kadmo ke saat bina kuch kahe nikal pade.

Mai yeh sonch hi raha tha ke wo kaun thhey aur kaise darwaza aur uska tala khol ke andar chale aaye, utney me Dr. Ahmet hujrey me tashreef laaye.

Mai jazbati hokar Dr. Ahmet ko jo waqia guzra, sab sunaya aur chaha ki wo Gavs q.s se yeh muamla kya tha talab karein.

Unhone kaha ke mai nahi puch sakta agar aap us waqiye ke shahid hai toh aap hi puuchlena.

Dr.ahmet ne mujhe rumaal diya aur us rumaal ke beech dawayi rakhhi aur pani ka pyala bhi saat leliya aur kaha ke chalo saat andar chaltey hai.

Hum andar daakhil hue aur mai abhi sonch me hi tha ke us waqiye ke bare me puchun ya nahi, Dr. Ahmet ne Gavs q.s se pucha “Kurban wo kaun thhey ? Idrees is barely me badey hi fikrmand hai”. 

Gavs q.s ne jawab diya ke wo Abdaal thhey, hindistan se yaha kuch mas’ala puchchne ke liye yahan tashreef laye thhe. 

Mai khud ko rok na saka aur Gavs q.s se arz kiya “Kurban unhoney kya pucha” ?

Gavs q.s muskuraye aur kaha ke yeh baat hamare hi beech rahegi. (yaaney sirf Gavs q.s ke aur abdaal hazraat ke jo tareef laye thhey)

aur Kaha ke “shah e hazna q.s ki janib se bohat imdad hui”

Yorum Yapın